Aoo aj zindagi ke uss panne ki bat kare
jisne tumhe ek naya chehra diya he
jisne tumhe musibat se ladne ka hausla diya he
jisne tumhe aj firse jeena seekhaya hai.
Ao aj zara uss panne ko palat ke dekhe
jisme barso ka dhool jama hua he
jo dil ke kisi kone me aj bhi surakshit hai
tumhare nazro se durr magar mann ke bohut kareeb he.
han ye woi panna hain jise
na tum palat ke dekhna chahte ho
na hi jalake rakh bana paye ho
kuch khoke kuch hasil tumne bhi kiya hoga
kuch galtiyan tumse bhi hui hogi
kusoor isme tumhara bhi utna hi hoga
jitna us waqt ka tha jab iss panee ne apna roop rang tha apnaya.
zindagi ke khoobsurat kitab ka wo panna
aj bhi jab hawa ke jhoke se samne ajata
tumhe beete har kal ke har pal ko jeeta hua dikha jata
han mana wo dard bhara hai
magar usne hi tumhe har mushkil me muskurana seekhaya hai
kabhi kisi waqt zara uss panne ko palatke dekhna zarur
apne beete hue kal ko niharna zarur
apne har takleef ko bhulakar
fir se ek bari muskurana tum zarur
fir se ek bari muskurana tum zarur.
Comentarios