Apne ghar me pankhe ke neeche bethe hum kya jane,
Tapte suraj ke neeche chalne wale shrameeko ka Dard.
Apno ke sath ek chatt ke neeche Beth muskurane wale hum kya jane,
Apno ke pas pohuchne ke liye kese bebas he wo karmkar.
Apno ke sath tarah tarah ke vyanjan khane wale hum kya jane,
bhook me bilakhne wale un bacho ki vyatha
"SACH HE YE... HUM KYA JANE MAJDURO Ki MAJBURI."
Gareebi aur bebasi ke maare the wo,
Aj lachari ke kue me dhakele gye he wo.
Tapte suraj se ladke,
milo ka rasta napne chale he wo.
Apno ke sath rehne, apne gao ke taraf nikle he wo.
Pairo me chale liye,
Bhuke pyaase pareshan he wo.
Dard bhare jeevan se kar hi rahe the ladai,
Lathiyo ne bhi koi daya na dikhayi.
Zindagi ka bhar tha hi kandho pe,
Saman ke bojh ne aur jhuka diya he unhe.
Patri pe bikhri roti aur sadak pe fele saman,
Un majboor majduro ki ye vyatha jatati tasveer
Banke misal yad rahegi salo sal.
Bharat nirman me Inka bhi he hath,
fir ku nahi de pa rahe hum Inka sath?
Beautifully penned the emotions of migrants.
So true...
No matter how much you run after money... Bt home is the ultimate peace place...